background cover of music playing
Zaroorat Se Zyada - From "Vedaa" - Amaal Mallik

Zaroorat Se Zyada - From "Vedaa"

Amaal Mallik

00:00

05:36

Similar recommendations

Lyric

Tu jaane na jaane, hain tere deewaane

Tujh hi ko hai maana sanam

Tere paas aane ke dhoondhoon bahaane

Zara tu badha ek qadam

Kya dil chaahta hai, na poocho humein tum

Bas itna pata hai, kisi ke nahin honge hum

Zaroorat se zyada hua main tumhara

Haan, ab pyaar hoga na kam

Bana na sakein jo tumhein hum humara

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Dard baante saath mein, saath baanti har khushi

Aaj bhi honthon pe hain tune di thi jo hansi

Kuchh tere ehsaas ki, kuchh teri aawaaz ki

Khushbuyein maujood hain aaj bhi mujh mein kahin

Dhadkate rahoge mere dil mein har-dum

Magar baat sach hai, jahaan tu ruka, main khatam

Zaroorat se zyada hua main tumhara

Haan, ab pyaar hoga na kam

Bana na sakein jo tumhein hum humara

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Kuchh batana tha tumhein, jo kabhi na keh saka

Aane mein deri huyi, main zara hi door tha

Ek adhoore mod pe reh gaya yeh silsila

Ab usey samet le jo bhi baaqi hai bacha

Mujhe muskuraana sikhaate-sikhaate

Bata de, kahaan tu chala chhod ke aankhein nam?

Zaroorat se zyada hua main tumhara

Haan, ab pyaar hoga na kam

Bana na sakein jo tumhein hum humara

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

Toh lenge dobara janam

- It's already the end -