background cover of music playing
Rasiya Reprise - Pritam

Rasiya Reprise

Pritam

00:00

04:45

Similar recommendations

Lyric

Mera darpan akhiyaan teri

Tujhko tarse ratiyaan meri

Jeena mujhko raas aane laga

Jab se chehki batiyaan teri

Jogan, tera maara, rasiya

Jag jeeta, dil haara, rasiya

Pag tere chaubaare thehre

Sadqe main banjaara, rasiya

Rasiya, yeh tera hua, tune jiya moh liya

Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saunp diya

Ho, galiyon mein teri phir raha hoon

Chhod ke main rezgaari

Goya na-samjhi hai yeh meri

Ya ki teri hoshiyaari?

Zikr tera inn labon pe

Din-rain hai, din-rain hai

Man mein tu hai, man tabhi toh

Bechain hai, bechain hai

Ban kar tera yaara, rasiya

Soche na dobaara, rasiya

Pag tere chaubaare thehre

Sadqe main banjaara, rasiya

Rasiya, yeh tera hua, tune jiya moh liya

Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saunp diya

Tum rahe na tum, hum rahe na hum

Thode hum mein tum, thode tum mein hum

Jogan, tera maara, rasiya, rasiya

Jag jeeta, dil haara, rasiya

Dil haara, rasiya, rasiya, rasiya

- It's already the end -