00:00
03:56
Sach kaha hai kisi ne
"Toote dil se nikalte hain geet"
Ik dafa ik baat hui
Chhod chala mujhe mera meet
Woh bistar par takiye ne mere
Aansuon ka hisaab rakha poora hai
Koshish bhi na ki tune samajhne ki
Yeh dil tere bin adhura hai
Main to khoya aur na soya
Par, haan, roya hoon raat-bhar
Main to khoya aur na soya
Par, haan, roya hoon raat-bhar
♪
Bikhre se ho gaye the khwaab tab
Jab keh diya tha tujhko, "Alvida"
Aankhon mein bewafai dekhi sab
Kya thi meri khata, ab tu bata?
Haan, qismat ki is kahani par
Duniya ne maza liya jamke poora hai
Koshish bhi na ki tune samajhne ki
Yeh dil tere bin adhura hai
Main to khoya aur na soya
Par, haan, roya hoon raat-bhar
Main to khoya aur na soya
Par, haan, roya hoon raat-bhar
♪
Main to khoya aur na soya
Par, haan, roya hoon raat-bhar, hmm