background cover of music playing
Aaja Mahi - AUR

Aaja Mahi

AUR

00:00

03:40

Similar recommendations

Lyric

Kho jaaoonga main tum mein

Tum bhi kho jaao na

Bas jaaoonga main tum mein

Mere ho jaao na

Dekho na aa ke, Jaana

Kat'ti na raatein, Jaana

Maana ki mushkil hain, par

Bhulo na waade, Jaana

Dil ko samjha ke jaana

Sab kuch na milta maana

Na jaane ham kyuun bichhde

Ham mein to pyaar bhi tha na

Marta hoon main, marta hoon main, aa ja

Yaad tujhe karta hoon main, aa ja

Toote huye dil ka main tere

Chhota sa tukda hoon main, aa ja

Dil ki baatein hi nahiin suni (nahiin suni)

Ab waadon pe yaqeen nahiin (yaqeen nahiin)

Hamein tu nahiin mila kabhi (mila kabhi)

Hamein sirf tasalli di gai (di gai)

Ham se khushiyaan cheen li gai (li gai)

Hamein bas udaasi di gai (di gai)

Tera intezaar hai sada, par

Tere aane ki ummeed hi nahi bachi

Aao na, dekho tum dobara

Teri yaadein hi bani hain jeene ka sahaara

Tanha baitha aahein bharta hoon main

Tu nahiin hai paas to ab khud se ladta hoon main

Darta hoon main, darta hoon main, na ja

Pyaar tujhe karta hoon main, na ja

Khud ko bhi kho doonga main, agar

Tujhko jo kho doonga, na ja

Ek hi baar to gaye the tum (gaye the tum)

Ek hi baar mar gaye the ham

Ek hi baar mein sab chhin gaya (chhin gaya)

Khushiyan door, gale lage gham (lage gham)

Ek hi baar aa jao na ab

Ek hi baar dekho na ab tum meri taraf

Ek hi baar mein le jao sab

Toota dil, uski yaadein, aur uski tadap

Gham tumne dekha kahaan hai

Khushiyon sa tera jahaan hai

Hamne dekha yeh jahaan hai

Par dekha tumsa na, Jaana

Dekho na aa ke, Jaana

Kat'ti na raatein, Jaana

Maana ki mushkil hai, par

Bhulo na waade, Jaana

Dil ko samjha ke jaana

Sab kuch na milta maana

Na jaane ham kyuun bichhde

Ham mein to pyaar bhi tha na

Aa ja, poori karein

Woh daastaan, doori bharein

Woh raasta, jo jaata tujhko manaane

Kaise tum ja rahe (ho, aa ja, Maahi, aa ja)

Ham ro rahe ya ga rahe (haan, aa ja, aa ja)

Yeh baatein tere siwa koi kya jaane (tu kahin se aa ja)

Aa ja, poori karein (aa ja, Maahi, aa ja)

Woh daastan, doori bharein (tu kahiin se aa ja)

Woh raasta, jo jaata tujhko manaane (aa ja)

Kaise tum ja rahe...

- It's already the end -