00:00
03:05
Uski baaton mein khanak hai
Uski aankhon mein udaasi
Uske chalne mein lachak hai
Par woh sehmi hai zara si
Uski baaton mein khanak hai
Uski aankhon mein udaasi
Uske chalne mein lachak hai
Par woh sehmi hai zara si
Uske bheetar ek agan hai
Par woh sheetal hai hawa si
Waise naazuk hai zari si
Chubhti bhi hai achchhi-khaasi
Meri jaan, jaan, jaan
Mere dil ka yeh makaan
Meri jaan, jaan, jaan
Mere dil ka yeh makaan
Toota-phoota hi sahi
Tu ban ja iska mehmaan
Meri jaan, jaan, jaan
Mere dil ka yeh makaan
Meri jaan, jaan, jaan
Mere dil ka yeh makaan
♪
Dard ki ek tees hai tu
Aur hai khushiyon ki munaadi
Zakhm hai tu gehra dil ka
Tu hi marham bhi hai, saathi
Yaadon waali, khwaabon waali
Har gali kyun tujhko bhaati?
Tu khayaalon mein toh rehta
Par samjh na tujhko paati
Meri jaan, jaan, jaan
Mere dil ka yeh makaan
Toota-phoota hi sahi
Tu ban ja iski mehmaan
Meri jaan, jaan, jaan
Mera itna kehna maan
Do adhoori saansein milkar
Kar lein zindagi aasaan
Ke tere bin jiya nahin jaaye
Ke chaina na aaye tere bin
Ke tere bin jiya nahin jaaye
Ke chaina na aaye tere bin