00:00
02:01
Dard pehle se hai zyada
Khud se phir yeh kiya waada
Khamosh nazrein rahe bezubaan
♪
Ab na pehle si baatein hain
Bolo toh lab thartharaate hain
Raaz yeh dil ka na ho bayaan
Ho gaya ki asar koi hum pe nahin?
Hum safar mein toh hain, humsafar hain nahin
Door jaata raha, paas aata raha
Khwah-makhwah, bewajah khwaab bunta raha
Tune jo na kaha, main woh sunta raha
Khwah-makhwah, bewajah khwaab bunta raha
Jaane kis ki humein lag gayi hai nazar
Is shahar mein na apna thikaana raha