00:00
04:31
Bichhdein jo hum aaj iss pal yahaan
Koi na jaane, kahaan phir milein
Chhootein jo haathon se ab haath toh
Phir jaane kab do musafir milein
Iltija meri hadd se guzar aayi hai
Rokte-rokte aankh bhar aayi hai
Baat rakh lo meri, jaan-e-jaan
Tum nahin jaaoge, bol do
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
Yoon hi pehlu mein baithe raho
Yoon hi pehlu mein baithe raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
♪
Thodi apni kaho, thodi sun lo meri
Shaam utri hai yeh bas humare liye
Shaam utri hai yeh bas humare liye
Aur toh kaun hai raazdaar-e-wafa?
Tum ho mere liye, main tumhare liye
Tum ho mere liye, main tumhare liye
Maan jaao na ab, jaan-e-jaan
Dekho, yoon na meri jaan lo
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
Waqt ki qaid mein zindagi hai, magar
Waqt ki qaid mein zindagi hai, magar
Chand ghadiyaan yahi hain jo azaad hain
Chand ghadiyaan yahi hain jo azaad hain
Inko kho kar, meri jaan-e-jaan
Umr-bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
Haaye, mar jaayenge, hum toh lut jaayenge
Aisi baat kiya na karo
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo