00:00
06:36
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Uski narm kirnon mein tum ko dekhta hoon toh
Dil dhadak sa jaata hai, dil dhadak sa jaata hai

♪
Tum kahaan se aayi ho? Kis nagar ko jaaogi?

Sochta hoon main hairaan
Chaand jaisa yeh chehra, raat jaisi yeh zulfein
Hain jagaaye sau armaan
Ikk nasha sa aankhon mein dheere-dheere chhaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski narm kirnon mein tum ko dekhta hoon toh
Dil dhadak sa jaata hai, dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
♪
Meri iss tanhaai mein, mere iss veerane mein

Rang leke tum aayi
Phir bhi sochta hoon main, "Kya yahaan tum sach-much ho
Ya ho sirf parchaai?"
Khwaab jaisa banta hai, aur toot jaata hai