00:00
02:25
Lehrein toh chup hain, magar yeh kashtiyan takra rahi
Lehrein toh chup hain, magar yeh kashtiyan takra rahi
Kaun samjhaaye inhein, bekaar hai rassa-kashi
Kal hi ki toh baat hai, hum khelte the mauj se
Ladte the hum pyaar se uss naqli waali fauj se
Raat ke iss shor mein khamosh ek ardaas hai
Kaun jaane, kaun jeeta, kis ka yeh vanvaas hai
Kis ka yeh vanvaas hai, kis ka yeh vanvaas hai
♪
Dil ke mausam hain badalte, jaise din aur raat hain
Dil ke mausam hain badalte, jaise din aur raat hain
Bhaagta hai waqt bhi toh aise hi jazbaat hain
Ladkhadaata hai yeh dil, par kehta hai, "Azaad hai"
Shukriya kehna tha, par keh gaya, "Naraaz hai"
Lagte hain jo door, shayad woh humare paas hain
Kaun jaane, kaun haara, kis ka yeh vanvaas hai
Kis ka yeh vanvaas hai, kis ka yeh vanvaas hai