00:00
02:43
Pahaadon mein, kinaaro mein, na nadiya ki dhaaron mein
Sitaaron mein, minaaron mein, na waqt ki daraaron mein
Kahani mein, kitaabon mein, na ho chuke hisaabon mein
Na tum sa hai koi kahin
Phoolon mein, fizaaon mein, na chalti hawaon mein
Na sardiyon ki dhoop mein, na garmiyon ki chaanv mein
Na subah mein, na shamon mein na raat ki panahon mein
Na tum sa hi hoga
Kabhi meri ankhon se khudko talaasho
Jo ho na yaqeen to, mujhe bhi bata do ki
Tum, mere ho tum
Na pooron mein, na aadhon mein, na kal se kal ke waadon mein
Na jeeton mein, na haaron mein, na kam mein na ziyaadon mein
Na baaton mein, na bhulon mein, na hadd mein na muraadon mein
Na tum sa hai koi kahin
Baarishon ki mitti mein, na aatishon ke hathon mein
Na fursaton ke jaamon mein, na kass ke pi sharabon mein
Na shaharon bhar ki bheed mein na gaanv ki hi yaadon mein
Na tum sa hi hoga
Kabhi meri ankhon se khudko talaasho
Jo ho na yaqeen to, mujhe bhi bata do ki
Tum, mere ho tum