background cover of music playing
kya chahiye - AUR

kya chahiye

AUR

00:00

04:43

Similar recommendations

Lyric

Apnon se rootha-rootha, phirta hai toota-toota

Ab waqt nahiin hai, saanvare

Apnon se tu hai haara, tu hai ek toota sitaara

Ab bhi sab waheen hain, jaan le

Ek raaja, ek raani

Ek tu hai, ek kahaani

Mujhe tere siwa kya chaahiye

Ek dard hai, ek marham

Ek marz hai, ek hamdam

Mujhe dard ki dawa chaahiye

Wo aaya nahiin, jo mud sa gaya

Is aasmaan men wo ud sa gaya

Mujhe us ke dil men jagah chaahiye

Ek raaja, ek raani

Ek tu hai, ek kahaani

Mujhe tere siwa kya chaahiye

Ek dard hai, ek marham

Ek marz hai, ek hamdam

Mujhe dard ki dawa chaahiye

Kya chaahiye?

Dil ko to teri panaah chaahiye

Chaahe yahaan ho, chaahe wahaan ho

Mujhe to wo hansta hua chaahiye

Jisko pata bhi nahiin hai

Mohabbat men wo mubtala chaahiye

Wafaaen le aao zamaane ki

Par mujhe wo bewafa chaahiye

Is tarah chaahiye ki jab wo mile to mujhe zindagi ye saza na lage

Shaam se subah ho jaaye, par waqt ka kuch bhi pata na lage

Par waqt abhi beeta hi kya hai, khushiyon se seekha hi kya hai

Jeeta hai main ne zamaana, aur haara tujhe hai to jeeta hi kya hai

Aisa bhi ho sakta hai

Hum raahon pe mar jaayen, aur phir ham ghar pahunche hi na

Wo roen hamaare liye aur kahen ki kaash use khote hi na

Tum is tarah paas the mere, is se to achcha tum hote hi na

Behtar hi hoga, ham apne us maazi ke baare me soche hi na

Ab bhoole hain apne ham waaday

Qisse wo saare wafa ke

Dil pe lage hain zakham

To mujhe nahiin kaam aate dilaase

Tu ne jo chaaha bura, to tu ne bhi jaan-e-jaan achcha kiya hai

Dil ko ab samjhaaye kaun, ye naadaan hai, ye smajhta hi kya hai

In baaton me rakkha hi kya hai

Ek kamra hai aur kuch kitaaben, aur ab un kitaabon men rakkha hi kya hai

Kuch lafz hain tere liye, ek phool, jo lagta hai murjha gaya hai

Ab lagta hai ghar aa gaya hai

Bichhadne ka jaan-e-jaan dil to nahiin hai

Par jaane ka lagta hai waqt aa gaya hai

Waqt to ye sab kha gaya hai

Safar jab mukhtasir hai to phir jism kyuun mera ye thak sa gaya hai?

Kahaani ko qissa kaha hai

Jawaani men dil kho gaya hai

Haasil hai sab kuch

Par tu jo nahiin to lagta hai sab kho gaya hai, sab kho gaya hai

Ek raaja, ek raani

Ek tu hai, ek kahaani

Mujhe tere siwa kya chaahiye

Ek dard hai, ek marham

Ek marz hai, ek hamdam

Mujhe dard ki dawa chaahiye

- It's already the end -