background cover of music playing
Dracula - King

Dracula

King

00:00

03:02

Similar recommendations

Lyric

Carnival

Hrrah!

Aaj raaton mein niklegi gaadi

Jebon mein hain paisa andha, par dil hai khaali

Jaana, teri yaadein mujhe chhod ke nahi jaari

Koi toh mita do

Aaj raaton mein niklegi gaadi

Jebon mein hain paisa andha, par dil hai khaali

Jaana, teri yaadein mujhe chhod ke nahi jaari

Koi toh mita do

Ye kaisa banaya khel ki jal gaye hum dono?

Ye kaisa karaya mel? Bichhad gaye hum dono

Hua qismat ka tha fer, na ghar gaye hum dono

Aaj main ban gaya woh insaan ki dar gaye hum dono

Ayy, suna hai maine mele lagte hain duniya mein

Bura karein toh sachchi nazrein nahi milti

Ab humse woh bhi saale nazron ke sher kahein

Dafan bandon ki jinhein kabrein nahi dikhti

Aaj tera King jahan khada, chakka jam

Taura hai poora, meri zindagi nahi aam

Afwaahon pe kyun rakhti nazar?

Meri baahon mein pada hai sach poora sar-e-aam

Meri aankhein hain laal, jaise sadiyon se soyi na hon

Dikhun main khush, jaise koi cheez khoi na ho

Aake suna do koi ye sachchi khabar

Woh mujhe chhod ke hai khush, mere liye kabhi royi na woh

Haan, mujhe yaad tere bina kya safar raha

Main wafadaar, bas is baat ka sabar raha

Suna afwaah ye nikli sach teri zindagi mein

Main raha nahi, par mere naam ka asar raha

(Oh), aaj kaafi dukha mann hai

(Ho), nasha poora, aankhein bhand hain

(Ho), sab jaante ye baat

Raja tere liye hua badnaam, meri jaana

Raaton mein niklegi gaadi

Jebon mein hain paisa andha, par dil hai khaali

Jaana, teri yaadein mujhe chhod ke nahi jaari

Koi toh mita do

Aaj raaton mein niklegi gaadi

Jebon mein hain paisa andha par dil hai khaali

Jaana, teri yaadein mujhe chhod ke nahi jaari

Koi toh mita do

(Oh), aaj kaafi dukha mann

(Ho), nasha poora, aankhein bhand

(Ho), sab jaante ye baat

Raja tere liye hua badnaam

(Oh), aaj kaafi dukha mann

(Ho), nasha poora, aankhein bhand

(Ho), sab jaante ye baat

Raja tere liye hua badnaam, meri jaana

- It's already the end -